Bewafa shayari in Hindi, bewafa shayari
Jaane Meri Aankhon Se Kitne Aansu Bah Gaye,
Insaano Ki Bheed Mein Bhi Dekho Tanha Rah Gaye,
Karte The Jo Kabhi Apni Wafa Ki Baatein,
Aaj Wohi Sanam Mujhe Bewafa Kah Gaye….
Dastan Soon Lo Jara Ghame Zindgi,
Bewafa Samajh Baithe Tumhe Dilagi,
Gairon Ki Baahon Main Machlati Ho Tum,
Behad Mehesoos Hoti Hai Hame Shermindagi…
Bedaag Or Begunah Meri Sarkar Hain,
Humse unki Bewafai Se Waqt Ki Maar Hain,
Woh Bhale Hain Kitne Sitam Karein Hum Par,
Phir Bhi Mere Liye Wo Jaane Bahar Hain….
Kehte Hai Gam Baatne Se Hota Hai Kam,
Aisa Hi Kabhi Pele Maante The Hum,
Tere Pyar Ki Nishani Tera Gam Hi To Hai Mere Paas,
Wo Bhi Baatdu To Rahega Kya Mere Paas,
Sochta Hoon In Sagar Ki Lehro Ko Dekh Kar,
Kyon Yeh Kinaro Se Takra Kar Palat Jati Hai,
Karti Hai Vo Kinare Se Bewafai Ya Fir Sagar Se Wafa Nibhati Hai…
Mujhe Kisi Ne Bewafa Ka Naam Diya,
Sathi Ne Jaise Jahar Ka Jaam Diya,
Jo Kabhi Kaha Karte The Bhula Mat Dena,
Unhone Hi Bhul Jane Ka Paigam Diya…
Ikatthaa Karke, Woh Mere Katl Ka Samaan,
Bewafa Adaaon Se Teer Chalaate Gaye,
Hamein Aadat Thi Use Muskurata Dekhne Ki,
Isiliye,
Hum Uski Har Adaa Par Muskuraate Gaye…
Humne Puchha Yaar Se Itna,
Kaise Woh Bewafa Ho Gaye,
Bole Woh Ki Tumse Kya,
Teri Jeb Se Sikke Kho Gaye…
Yaad Aa Gayi Fir Humko,
Kuchh Bhuli Huyi Baatein Yaaro,
Royenge Jinmein Kuredkar Jakham,
Aa Gayi Fir Woh Baatein Yaaro…
Huyi Toh Hai Yeh Khata Humse Bahut Bhari Sanam,
Na Chahte Huye Bhi Hum Aapse Pyar Kar Baithe,
Roka Tha Humein Sab Ne Ki Na Kar Tu Sagar,
Na Jaane Fir Bhi Kyu Tera Aitbaar Kar Baithe….
Mujhko Rulakar Woh Bhi Roya Toh Hoga Yaaro,
Muh Ashko Se Usne Bhi Dhoya Toh Hoga Yaaro,
Agar Na Kiya Hai Kuchh Hasil Hamne Pyar Mein,
Kuchh Na Kuchh Usne Bhi Khoya Toh Hoga Yaaro….
Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun,
Haay Main Kis Jaalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun,
Inhi Raahon Se Aayenge, Bhale Hi, Baad Mere Marne Ke,
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun…
Mujhko Rulane Se Milta Hai Sabko Na Jaane Kya,
Na Jaane Kyu Us Khuda Ko Bhi Raham Aata Nahi,
Maine Kabhi Bhi Na Ki Sikayat, Bhale Hi Laakh Gham Mile,
Magar Mere Moulal Sagar Se Ab Aut Jiya Jata Nahi…
Yeh Manta Hun Main, Ki Har Koi Bewafa Nahi Hota,
Magar Teri Tarah Har Koi Sab Kuchh Toh Nahi Khota,
Yeh Bhi Sach Hai Ki Agar Mujhko Gham Nahi Milte,
Toh Is Duniya Mein Shayad Yeh Sagar Nahi Hota…
Aapki Yahi Adayein Toh Hain Eh Mere Humdam,
Jo Humko Aap Par Marne Ko Majboor Karti Hain,
Magar Yeh Bhi Suna Hai Ke Hote Hain Sabhi Hasin Bewafa,
Aap Bhi Hasin Hain Yehi Baatein Aap Se Door Karti Hain…
Tu Bhi Hai Sangdil Bewafa Eh Dost,
Yeh Sochkar Dil Ghabrata Hai,
Ab Karun Bhi Kya Ke Bin Tere,
Sagar Se Jiya Nahi Jata Hai…
Comments
Post a Comment